Duration 6:50

Zuljanah Noha (Official Video) - Mesum Abbas Nohay 2020

320 580 watched
0
13.6 K
Published 1 Sep 2020

Zuljanah was the horse of Imam Hussain (as) in Karbala in the year 680 (61AH). This noha describes the dialogue that took place between the horse Zuljanah and Imam Hussain's daughter Sakina (sa). On the10th of Muharram, when Zuljanah returned from the plains of Karbala without Imam Hussain (as) on its back, Sakina knew her father had been martyred. In this heartwrenching noha, she pleads and begs the horse to tell her where he has left her father, so she could find his body and talk to him one last time. Even today, every 10th Muharram, azadars around the world bring a Shabih (replica) of the Zuljanah to the juloos (processions) on Ashura. The noha has been written by Mazher Abidi and composed/recited by Mesum Abbas Naqvi. Zuljanah Noha (Official Video) - Mesum Abbas Nohay 2020 Subscribe to this Channel : http://bit.ly/MesumAbbasOfficial Listen to and watch the new noha video of Mesum Abbas latest Muharram 2020 Noha ‘Zuljanah’ This new noha Zuljana is written by Mazher Abidi & composed by Mesum Abbas. #Zuljanah #MesumAbbas #Nohay2020 TURN ON CAPTIONS (CC) FOR FULL LYRICS! Video Credits: ZULJANAH | Mesum Abbas | Noha 2020 👉🏽Nohakhwan: Mesum Abbas - میثم عباس 👉🏽Poet: Mazher Abidi 👉🏽Audio Sound Engineer: M. Ishaq Nazir (Audio-Five) 👉🏽Audio Mixed & Mastered: M. Omar Qureshi (ODS) 👉🏽Directed by David Garcia 👉🏽D.O.P: Will DeJessa 👉🏽Video Post-Production: Ali Arman Baltistani (TNA) 👉🏽Backing Vocals: Sonu - Monu - Rajab Ali - Munawwer Ali 👉🏽Graphics Team: Yawer Damani (YAD), Junaid Qureshi (JQ Productions) 👉🏽English Subtitles: Ahmed Virani 👉🏽Label: Goldenn Records 👉🏽Social Media: Azaad Media 👉🏽Sarparast: Syed Baqar Naqvi LYRICS: Dooba lahu me laut ke, aaya jo Zuljanah Samjhi Sakina Baba ko, laaya he Zuljanah Dekhi jo zeen khaali toh, karne lagi ye bayn Zuljanah, Zuljanah Zuljanah, Zuljanah, Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah Jo gaya he ghar se aa nahi saka… Haye Zuljana, Haye Zuljanah Shaam hogaye he, din guzar gaya… Haye Zuljana, Haye Zuljanah Kyun teri bage kateen zulm kya huwa Khoon se tar he jabeen zulm kya huwa Kyun he zeen khali, Baba he kahaan… Haye Zuljana (2x) Pusht kyun he zakhmi, khoon he rawaan… Haye Zuljana (2x) Mere Baba ke wafadar kuch bata De mujhe sabr aur karaar kuch bata Teer he badan par tere jaa ba jaa… Haye Zuljana (2x) Kyun nahi bata-ta, Kya sitam huwa… Haye Zuljana (2x) Teri khamoshi me he gham ki kya khabar Kya me samjhun ke juda hogaye padar Haath jorh kar me keh rahi thi naa… Haye Zuljana (2x) Ji sakungi kayse Baap ke bina… Haye Zuljana (2x) Ab jo dunya me mere Baba na rahe Kon seene pe sulaye ga ab mujhe Uth gaya jo sar se saaya-e-padar… Haye Zuljana (2x) Soye gi Sakina kayse khaak par… Haye Zuljana (2x) Shimr le jayega ab baaliya meri Haye Saadat ki chadar bhi chiney-gi Qatl ho gaya kya Fatima ka laal… Haye Zuljana (2x) Ye dukhi Sakina ho ke pur malaal… Haye Zuljana (2x) Tujh se ro-ro ke kar rahi thi ilteja Mere Baba ko suu-e-dasht na leja Har taraf he laashey, har taraf lahoo… Haye Zuljana (2x) Dhundu me padar ko, kayse chaar-su… Haye Zuljana (2x) Ayse be-dard la'eeno ke darmiyaan Tu bata laashe padar paaungi kahaan Bayn be-khata ke sun ke ro diya… Haye Zuljana (2x) Sar jhuka ke apna ran ko chal diya… Haye Zuljana (2x) Kya kahein Mesum aur Mazhar Abidi Keh ke ye khaak par Sakina gir gayi New nohay video by Mesum Abbas reciting Zuljanah (Official Video). © 2020 Mesum Abbas / Azaad Media / Goldenn Records.

Category

Show more

Comments - 713